Sorting Microsoft Excel ka ek important data management feature hai. Iska use data ko kisi particular order mein arrange karne ke liye kiya jata hai.
Sorting ki help se hum data ko Ascending ya Descending order mein arrange kar sakte hain.
Example:
Agar students ke marks hain:
65, 40, 90, 55, 75
Sorting ke baad:
Ascending: 40, 55, 65, 75, 90
Descending: 90, 75, 65, 55, 40
Sorting ka use:
Ascending Order mein data small se large ya A se Z ki taraf arrange hota hai.
10 → 20 → 30 → 40 → 50
A → B → C → D
Oldest → Newest
Descending Order mein data large se small ya Z se A ki taraf arrange hota hai.
50 → 40 → 30 → 20 → 10
Z → Y → X → W
Newest → Oldest
| Student | Marks |
|---|---|
| Rahul | 75 |
| Aman | 92 |
| Ravi | 58 |
| Neha | 85 |
Marks – Largest to Smallest:
| Student | Marks |
|---|---|
| Aman | 92 |
| Neha | 85 |
| Rahul | 75 |
| Ravi | 58 |
Excel mein ek se zyada columns ke basis par bhi sorting ki ja sakti hai.
Example:
Pehle Class ke according sorting aur uske andar Marks ke according sorting.
| Name | Class | Marks |
|---|---|---|
| Aman | 10 | 85 |
| Ravi | 10 | 72 |
| Neha | 9 | 90 |
| Pooja | 9 | 78 |
Is tarah Excel mein primary level aur secondary level sorting ki ja sakti hai.
Leave a Reply